

Phir ek baar haazir hua hu is mehfil me ek naye sher ke
saath. Is sher me jinka jikr hai wo “Sona” hamara pahala aur akhiri
pyar, hamari jindagi hai. Ye sher humne us waqt likha tha jab hamari
bas kuchh hi mulaqaate hui thi. Hume shayari ke “grammer” ka koi
knowledge nahi hai. Humne to bas jo dil me aaya likh diya hai.
Tasweer Na Sahi Tasawwoor Hi Sahi
Kahi To Mere Paas Hai Tu “Sona”
Khushboo Ki Tarah Meri Saanso Me Hai Tu
Mere Aanewale Kal Ka Ehsaas Hai Tu “Sona”

umad ghumad kar badal chaaye
chanchal hawaon nay daud lagaii
pagal mera man mayura
hawa usko dekh pakad na paayi
mahak uth ti hai khayalon mein
meray mann aangan ki phoolwaari
khili hain anganeet champa chameli
gaalon nay gulabon ki rungat churaii
udtay gesu badal say hawa mein
badalon nay rimjhim ki ladi barsaii
bheega anchal dharti ka barkha mein
kaliyaan phool ban kar muskaii
aisay mein …
jhoom uthi ek kali yovan ka nikhaar liye
garm hawaon nay chooma usko
paagalpan bhara pyaar liye
jhuki tahni magar bikhari na kali
chaaya tha ek badal preet ki bochaar liye
rimjhim giri budain pyaar ki
khilnay lagi kali rangon ki bahar liye
khushboo say mahak uthi phoolwari mann ki
badal ki chaah ka uphaar liye
kaisay batalaaye kali badal ko
anuraag bikhra rahi woh badal kay liye
har pankhudi kali ki
preet ki bahaar liye
badal bhi jhuma dekh kar kali ko
phool ban gayi kali badal ka pyar liye…

Achha hua ki raah mein thokar lagi mujhe
hum gir pade to sara jamana sambhal pada
Mere khuda mujhe thodi si zindagi de de
Udaas mere janaaze se koi jaa raha hai
Kab ki pathar ho chuki hein ye meri aankhein magar
chhooke jab dekha to haath geele ho gaye
Mere marne ke baad mere seene se, dil nikal lena
Kahi woh na jal jaaye, jo mere dil me rehte hai
Jab tak lahoo lahoo the, koi poochhata na tha,
Patthar hue to hum bhi, khudaaon me aa gaye ..
Har Ikraar Mera Tere Inkaar Se Aachha Hoga
Mera Har Din Teri Us Raat Se Aachha Hoga
Na Ho Yakeen To Jhaank Lena Apni Doli Se
Mera Janaaza Teri Baarat Se Aachha Hoga
Unhone hame bhule se yad na kiya
Par hamne unki yaad mein sab kuchh bhula diya
Unhone wada to kiya tha khwab me milne ka
Ye hamari badnasibi ki hame nind hi nahi aai…

Ek arsa huwa kisi ko pasand aye huye
”Riyaz” teri ankhon me samaye huye.
Sher ab na kahiye ke hai faqat ye kuch
Jo aaj hai kisi ko is kadr uljhaye huye
——————————- – – – – –
Maaf karna hume agar gustakhiya ho jaye,
Hum hosh me nahi hum hai kabziyae huye
—————————— – – – – – -
Ja ko agar takalluf na ho kisi bhi cheez ka
To farmaya ke hum tere ghar se aye huye
—————————- – – – – – – –
Manzar kuch is kadar na ho ke tufaan aa hi jaye
Teri tuti huyi tasveer ko seene se hai lagaye huye
————————– – – – – – – – – -
Afsos ke kuch pal to kaat diye maine tere sath sath
Ke ab chale kahi aur hum ‘paimane’ larkharaye huye
———————— – – – – – – – – – -
Mukaddar ye nahi ke juda ho rahe hai hum,
Mukaddar ye ke dhago se hum hai hilaye huye..

Zamaane ke dar se teri Tasveer toilet mein chhupa rakhi hai !!
Baar baar deedaar ho tera is liye julaab ki goli bhi kha rakhi hai !!!!
Macchhar ne mujhe kaata….. Macchhar ko junoon tha….. !
Khujli fir aisi machi….. ki dil besukoon tha….. !!
Humne use pakda….. aur fir chhod diya gaalib….. !!!
kambakht ki ragon mein….. apna hi khoon tha….. !!!!
Pyar ki raah mein hum aur tum yun kho jayenge
Gar haath bhi rakha to ehsas na hoga
Humara dil to tumne le liya hai sanam
Tumhara dil bhi tumhare paas na hoga
Aur bhi cheezein bahut see lut chuki hain dil ke saath
Ye bataya doston ne ishq furmaney ke baad
Is liye kamre ki ek ek cheez “check” karta hoon main
Ek tere aaney se pehley, ek tere jaaney ke baad
Balti mein bhar bhar ke paani tera aks daikhta hoon
Balti hila hila ke tera raqs daikhta hoon
Jab kaha tha aao to aate na the
Bin kahe aab bar bar aane lage
Ya kabhi wo berukhi, ya ye karam
saath ab bacchhon ko bhi lane lage
Duniya Se Jo Dare, Usye Kayar Kehte Hain !
Duniya Jis se Dare, Usye Shaayar Kehte Hain !!
Biwi Se Jo Dare, Usye Shohar Kehte Hain !!!

Kon rakh ta hai yaad naamo ko,
logh chaharo ko bhool jatey hai,
tum samader kee baat karti ho,
logh ankho mein doob jatey hai,
Mohabat jisney ker ni ho.
wo mohabat kya janey,
Mera dil tumhi ab bhi chahata hai…
teray dil ko khuda jaanay
aaj subeh ek FM 91 pe suna tha, ye bhi sahi hai………..
Kash me pani kaa ghada hotaaaaaa
kaas me pani ka ghada hotaaa
To pani se bhara hota………
Teri kamar se laga hota……
aur teri baho me pada hota………

Aey Hasin lardki, Appna naam toe batati ja,
Aey Hasin lardki, Mera dil toe leyti ja,
Aey Hasin lardki, Tere dur sey na jaunga,
Aey Hasin lardki, Tujhe utha ley jaunga,
Aey Hasin lardki, Tujhe raat bhr jagaunga,
Aey Hasin lardki, Tere khawabon mey aunga.
Aey Hasin lardki, Appna naam toe batati ja,
Aey Hasin lardki, Apna dil toe deyti ja….
Rehte hai dilbar teri ankhon me
Ankhon ko ashiyana banaye rakha hai
Har gam jisse ho tujhe takleef jara si bhi
Un gamo ko humne apnaye rakha hai
`
Kabhi teri nazro se jo ho jate hai ru-baru
Har sitam wo nazrana banaye rakha hai
Wo manzar jo manzar nahi par manzar hai
Sahil se dor unka thikana banaye rakha hai
`
Kabhi rote hai kabhi has ke kam chalate hai
Har shams teri yaade seene se lagate hai
Wo murkar dekhte hai mujhe kuch is tarah
Ke har manjar tujhe hi gale lagate hai.

Aansu ko bohoth samjhaaya tanhai me aaya karo
Mehfil me humara mazaak na udaya karo
Ispar aansu tadapkar bola
Itne logoun me aapko tanha pathe hain
Isliye chale aathe hain…
`
dukh hai dard hai toh dawaa hai dosti,iss ghutan bhari zindagi ki haseen fiza hai dosti.
jo na samjhe uske liye kuch nahi,jo samjhe uske liye khuda hai dosti……
`
Meri zindgi hi mujhe azaab lage,
aankh me ashkon ka sailaab lage.
tere husn ka sani duniya me nahi koi,
chehra tera mujhe khilta gulaab lage.
kya zarurat hai tumhe parde ki,
tere qesu hi sanam tera naqaab lage.
`
humein izhar karna na aaya,
unhein pyaar karna na aaya.
hum bus dekhte hi reh gaye,
aur waqt ko thamana na aaya.
woh chalte chalte itne door chale gaye,
`
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,
Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena….

Tere shaher me rehte hai
Tera mukaam dekhte hai
Tu rahe na kisi muskil me
Zariya-e-intezaam dekhte hai
————######————
Har zarre me tujhe nahi dekhte hai
Har shab me tera gulzaar dekhte hai
Khwahish ne pukara tha mujhe
Mai gaya mujhe angaar dekhte hai
————######————
Manzar-e-kashti chal to rahi hi thi
Par asma ruke ye zabar dekhte hai
Haya apni lay me thi or phool shabnam
Jan-e-raoushan kya sabar dekhte hai.
————######————
Mehfil-e-masumiyat se mulakat huyi.
Jane anjane hi sahi par kuch bat huyi.
Sharafat har ki pani bas pani ho gayi
Nizam me kuch karna shaitani ho gayi.
————######————
Devendra………a dost that never dies……
Tum meri soch ho,
Koi aur tumhain sochy to kyun?
Tum meri chahat ho,
koi aur tumhain chahay to kyun?
Tum meri nazar ka aaina ho,
koi aur tumhain dekhy tu kyun?
Tum mery labon ka naghma ho,
koi aur tumhain gaye tu kyun?
Tum meri dua ho,
Koi aur tumhain mangy tu kyun?
Aur last main apny 2 ashar arz hain
Wo mujh sy kehta rehta hy
Bahut majboriyan hoon
Waqt kisaf lafzon main wo
khud ko bewafa nahin kehta
Itny zalim na bano
Kuch to muravat sekhotum py marty hn
To kya mar he dalo gy hamain.

Hum unki rahguzar pe aaj bhi sajda karte hain
Wo aaye ya na aaye milne ki dua karte hain
Jab phoolon ki thi hasrat
tab kaante hi aaye daman mein
Ab ke kaanton se ki hai dosti
Tab phool barsate ho!
Teri muhabbat mein pagal ho
Hum tujhe khuda bana baithe
Patthar ke ai but tujhse to
dil tuta aisa ki awaaz na aai.
Dil hi to hai koi patthar nahi
Zara narmi se pesh aaiye
Ab darde dil diya hai to
dawa bhi batate jaaiye.
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
woh jaa raha hai yaar mera, koi use roko,
chod raha hai tanha mujhe, koi use roko|
rutha hai mujhse, beheka hai mujhse,
hai uski bhi kuch geheri ranjishen,
hai galtiyan kiski, hai gunha kiska,
ho kuch bhi, par badh raha hai fasala,
tut raha hai dil mera, koi use roko,
woh jaa raha hai yaar mera, koi use roko|
manaya use, behelaya bhi,
ban ke phool, main murjhaya bhi,
mannaten ki maine haat jodke,
jaa raha hai woh, mera dil tod ke,
ban raha hai sangdil, koi use roko,
woh jaa raha hai yaar mera, koi use roko|
jaanese pehele dekha usne mudke,
nigahonse kuch unkaha bayaan karke,
shayadse kuch ankahe sawal,
shayadse kuch unsune jawab,
chod raha hai baat adhuri koi use roko,
woh jaa raha hai yaar mera, koi use roko|

Ek tumse milne ke liye jaan gawa bethe hai hum
lekin dunya se kya kare dartein hain hum
Mere darrti hun mughe kayar hi samaj lena tum
lekin mughe kabhi bewafa na keh dena tum
Ghum judai ka dil mein daba lenge hum
Lekin ilzaam bewafai ka na seh payenge hum
Dunya she ladh nai sakthi inki anjaamo se khabratein hai hum
Lekin logon ke zubaano se dartein hai hum
Mughe apne badnaami ka koi gila nahi sanam
De dungi mein jaan api tere liye har janam
Lekin kaise thod dun mein apno buzurgon ka bahram…
Ghayal
Gunah ki sazza bhi na sunayi aur chal diye
Mohabaat ki raza bhi na sunayi aur chal diye
Mazirath ka jawab dena bhool gaye
Maarkar kiski ko nishaan mitnana bhool gaye
Aye mere katil mughe tum marta chor gaye
Jate jate meri ankhon mein apna chehra chor gaye..
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
ek shayar ki faryaad suno, uski zubani,
dard-e-dil ki dastaan suno, uski zubani|
dil laga baitha tha woh, ek ajnabi se,
adhure pyar ki nayaab kadi suno, uski zubani|
ek dil hai, ek dilbar hai, ek gulistaan,
is sehere ki rudali suno, uski zubani|
in tanhaiyon ki gali mein, kaisa shor hai barpa,
koi diljala roya hai, uski zubani|..
-Devendra Singh-
No comments:
Post a Comment